Main Rahib Hoon - Mesum Abbas

Main Rahib Hoon - Mesum Abbas


Main Rahib Hoon, Main Rahib Hun 1) Mai hoon Rahib, hai maseeh mera qabila logo Mere aqa mere sardar he Isaa logo Ek haqiqat se utha ta hun me parda logo Mera Hussain he Isaa ka maseeha logon Imam e waqt ka me intezaar karta hun Halab ke dair me lamhe shumaar karta hun Yaqeen he ye mera, Jab ayenge Mola Me unke qadmon me gir kar sadaa lagaunga Tum pe Maula me fida jaan karun Apne beton ko me qurbaan karun Main Hoon Najraan ka Rahib, Main Rahib Hoon Suno ke tumko sunata hun waqiya aysa Meri hayat me aysa bhi waqt aya tha… 2) Me lawalad tha aur umeed na thi koi mujhe Huzoor pak ne ye baat khud kahi thi mujhe Lawh-e-Mehfooz ki tehreer bhi sunayi mujhe Magar Hussain ne us dam pisar diye the mujhe Ek nahin, saath nageene ata kiye the mujhe He ye ehsaan bara, bhulaaun kayse bhala Ye baat unse kahunga ke farze he ye mera Tum pe Maula me fida jaan karun Apne beton ko me qurbaan karun 3) Dafatan qafila ek shehr-e-Halab me pohncha “Ya Hussayna, Ya Hussayna”! se larazti thi fiza Neend se mujh ko jaga kar meri zawja ne kaha Khwaab se jago ke phat-ta he kaleja mera Kaun karta he tarap kar girya, Kaun kehta he ye ‘Baba, Baba’ Khwaab e ghaflat se utha; aur maine ye kaha Aisa lagta he chaley aaye mere ghar Maula Tum pe Mola me fida jaan karun Apne baiton ko me qurbaan karun Sun ke awaaz e jaras janib e dehleez gayaa Meri aankhon ko nazar aya qayamat ka samaa… 4) Kya kahun me ne kin aankhon se woh manzar dekha Be-rida chand aseeron ko khule sar dekha Kitne suraj the jinhe nok e sina par dekha Me ne ek chota sa sar dil ko pakar kar dekha Ek sar par nahi mojood rida Ek sar sharm o haya se he jhuka Ek rahvaar ki gardan me bandha Ek sar bar sar e nok e nezaa Dekh kar kafela me aah o bukaa karta hun Peet ke sar zaar o qataar rota hun 5) Maine pehle bhi kahin dekhe he aise chehre Ayse noorani bashar toh Mubahile me hi the Ya Khuda naize pe jo sar hen ye woh log na ho Woh jo aulad e payambar hen ye woh log na ho Jinki tareef main Injeel me bhi jumle hein Woh jo chaahein to pahaaron ko hila sakte hein Yaqeen he ye mera, Jab ayenge Maula Me unke qadmon me gir kar sadaa lagaunga Tum pe Maula me fida jaan karun Apne baiton ko me qurbaan karun 6) Woh jo sar natiq e Quran nazar aata tha Do sitamgaaron ka uss sar pe laga tha pehra Darte darte jo me nazdeek gaya Naiza bardaaron se maine pucha “Ye jo khoon rota he sar, Kya he Zahra ka pisar?” Pehradaaron ne kaha, “He ye baaghi bakhuda Hakim-e-Shaam ne he, iss pe inaam rakha Iss ke hami na bano tum Raahib Iss ke hami ka he marna wajib” Me pareshaan huwa, Aur ye kehne laga Ek shak he mere dil me zara poochoon isse Ek lamhe ke liye baat me karloon isse Mujhe iss sar se mila do, Jitne qeemat he laga do Ek shab ke liye sar se apne pehre ko hata do Jab ijzazat mili phir dil ko mere aya qaraar Maine dirham bhi sipahi ko diye tees-hazaar Le ke uss sar ko jo me ghar pohoncha… Me ne uss sar se kaha mujh ko bata…


video here

Comments