abbas-e-alamdar - sayed abbas naqi

Abbas-e-Alamdar 



jab koi na nasir ho na ho koi madadgaar,
ya hazrat-e-abbas pukare jo azadar,
gham dhur wo kar deta hai shabbir ka ghamkhwar,
baba ki tarhan qul ka madadgwar e alamdar,

abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x3)

abbas...,
ay tamanna e ali, ay wali ibne wali,
ay mere gazi,
tujse raazi hai khuda, tujse raazi hai nabi,
hai ali raazi,
tum karbobala ke,ho haidare karrar,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2) 

hai tera alam, dil ka bharam,
hashimi sardar,
na aisa alam hai na koi aisa alamdar,
didaar tere roze ka kabe ka hai didaar,
hur jeenno malaek ya bashar sab tere zawwar,
jannat hai hamari, maula tera darbar,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

abbas,
bazuye shahe humam, tumhi sakkaye haram,
aas pyasoon ki,
tumse ay sher e jali, baki ummid rahi 
pyase bacchon ki,
dekha na suna hai tum jaisa fiddakkar,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

ay sayyede sardar pe ne haidare karrar,
tu babehawahij hai tu hai qul ka madadgaar,
zehra ka wo pyara hai jo karta hai tuje pyar,
dushman jo tera hai wo jahanum ka hai haqdar,
dushman se tumhare hum log hai bezaar,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

abbas,
asade sher e khuda,
ay sakina ke chacha,
haidar e saanni,
tu hai zehra ki dua asara zainab ka,
noore imanni,
tu banke raha hai shabbir ka imdaad,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

hai ibn e ali sher e jali aaqa o maula,
rooza hai tera saare wafadaroon ka kaaba,
tu haq pe wafa tu hi payambar hai wafa ka,
karti hai wafa aaj bhi dar par tere sajda,
wo hai tera banda jo bhi hai wafa ka,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

abbas,
hai shabe tegh lada kabza darya pe kiya,
na piya pani,
ho gaye bazu juda hausla kam na huwa,
shah ka jaanni,
mashkiza utha kar badta raha jarrar,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

sahil ki baqa dhadkane dil ka hai tu ehsaas,
mushkil jo kabhi aye pukara tuje abbas,
darbaar se tere na kabhi tuthi meri aas,
yun teri gulami hai hame aayi bahot raas,
abbas ki aawaz salman ke ashkar,
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

abbas,
bazuye shah e ummam tumhi sakkaye haram,
aas pyason ki,
tumse ay sher jali baki ummid rahi,
pyase bachhoon ki,
dekha na suna hai tum jaisa fiddakar.
abbas-e- alamdar 
lashkar ka hai salaar (x2)

 iltemase dua..


                                                               








 


Comments

Post a Comment