Akbar tumhe maloom hai kya mang rahe ho....

Akbar tumhe maloom hai kya mang rahe ho



Akbar Tumhe Maloom Hai Kya Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Reza Maang Rehe Ho Iss Aalame Ghurbat Mein Tumhe Jaane Doon Kaise Iss Dashtée Musibat Mein Tumhe Jaane Doon Kaise Iss Waqte Kayamat Mein Tumhe Jaane Doon Kaise Aye Laal Jo Tum Izne Wigaa Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Kya Guzregi Iss Baap Ke Dil Par Nahi Socha Tumne Yeh Meri Jaa'n Ali Akbar (as) Nahi Socha Mar Jaunga Main Tujhse Bichhard Kar Nahi Socha Tum Mujhse Zaeefi Ka Asaa Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Dil Rota Hain Nazron Se Agar Door Ho Beta Kis Tarha'n Judaai Teri Manzoor Ho Beta Tum Hi Meri Ankhein Ho Mera Noor Ho Beta Mujhse Meri Ankhon Ki Ziya Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Duniya Se Gaya Jis Ghardi Mehboob Khuda Ka Nana Ki Ziyarat Ko Tarapta Tha Nawassa Aye Laal Tujhe Is Liye Khalik Se Tha Manga Maqbool Huwi Meri Dua Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Islam Pe Khud Apna Lahoo Ran Mein Bahao Seene P Sina Shaan Se Maidaan Mein Khaao Tasweer Payambar (saw) Ki Sare Khaak Milao Kya Iss Liye Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Ek Roz Tujhe Aan Ke Manga Tha Phuphi Ne Atthara Baras Naazon Se Paala Tha Phuphi Ne Beton Se Bhi Zyada Tumhe Chaha Tha Phuphi Ne Ehsaan Jo Zainab (sa) Ne Kiya Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Rakhte Nahi Tum Iski Khabar Aye Mere Pyare Kis Darja Mohabbat Hai Teri Dil Mein Humare Nana Ki Mere Shakl Hai Paikar Mein Tumhare Tum Soorate Mehboobe Khuda Maang Rehe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Sar Tera Bhi Jiss Waqt Chardhega Sare Neza Hoga Sare Maidaan Juda Sar Bhi Tumhara Hum Shakle Payambar (saw) Ka Gala Kaatenge Adaa Goya Mere Nana Ka Gala Maang Rahe Ho Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rehe Ho Baba Mujhe Maloom Hai Kya Maang Raha Hoon Ek Baap Se Marne Ki Riza Maang Raha Hoon Baba Mujhe Amma Ne Bhi Kuch Dars Diya Hai Adab e Wafa Se Mujhe Aagah Kiya Hai Pehle Mein Maru Aap Se Wada Yeh Liya Hai Bas Iss Liye Marne Ki Riza Maang Raha Hoon Ek Baap Se Marne Ki Riza Maang Raha Hoon Baba Mujhe Maaloom Hai Kya Maang Raha Hoon Hai Aap To Baba Bine Khatoone Qayamat (sa) Aur Maa Hai Meri Adna Si Ek Pehkare Ismat Kya Sine Mein Us Pe Nahin Kuch Jalbahe Ismat Mein Madare Muztar Ka Kaha Maan Raha Hoon Ek Baap Se Marne Ki Riza Maang Raha Hoon Baba Mujhe Maaloom Hai Kya Maang Raha Hoon Baba Mujhe Ehwaale Dile Zaar Pata Hai Hai Sakht Bohat Manzile Dushwaar Pata Hai Aur Deen Ka Mushkil Mein Hai Sardaar Pata Hai Yun Aap Se Marne Ki Riza Mang Raha Hoon Ek Baap Se Marne Ki Riza Mangu Raha Hoon Baba Mujhe Maloom Hai Kya Maang Raha Hoon Main Shaire HasAat Jigar Soz Hoon Khurshid Mehve Gham E Shabbir (as) Shab O Roz Hoon Khurshid Aalaam e Masaeb Se Zamee'n Doz Hoon Khurshid Kashkol Mein Kuch Ashq E Aza Maang Raha Hoon Baba Ek Baap Se Marne Ki Riza Mang Raha Hoon

Comments